Toh aj ke is post par hum janenge paytm password ko reset kaise kare aur paytm password change kaise kare.
Password change and Reset/forgot Deference ?
Kuch logo ko yeh confuse hota hai ki Password reset/forgot aur change mein kya antar hai kya yeh tino chije same hai ? dosto ji na yeh tino mein se 3 type ke hai ek hai Change password iska matlab hai apka old password ko ap badalna cahate hai, Password change karte samay Old password dekar change karna padta hai. Forgot matlab ap apne password ko bhul gaye hai aur password firse pane ke liye reset karna padta hai. toh yeh hai Reset aur change password ke antar karta hu ap samaj gaye.
Paytm password change kaise kare PC se
Wese to paytm password change karne ki tarika mobile se aur pc se ek hi hai firbhi thoda system alag hai pc ka aur android ka. toh ap niche step by step follow karke jan sakte hai paytm password pc se change kaise kare !
Pc se paytm password change karne ke liye apko sabse pehle Paytm.com ko open karna hai.
Step 1 Open karne ke bad apne paytm mobile no. Aur old password se login kar lijiye.
Step 2 Uske bad right side par apka naam dikhay dega uspar mouse pointer lene se view profile optione ayega usme click karna hai.
Step 3 karne ke bad niche apko change password ka option ayega uspe click kar dena hai. Click karne ke bad apko sabse pehle old password enter karna hai uske bad new password final confirm password par apne new password par jo diya woh password re type karna hai. Bas ab apka password change successfull ho gaya hai.
Paytm password change kaise kare App se
Step 1: Mobile se paytm password change karne ne liye sabse pehle toh apka paytm app downalod hona cahiye aur login hona cahiye.
Step 2: Uske bad apko paytm app open karna hai karne ke bad paytm ki left side ki upar corner par click karna hai karne ke bad, apke samne security settings option dikhay dega uspar click karne ke bad. Security and settings ke niche change password option ayega uspar click karna hai.
Step 3: Click karne ke bad sabse pehle apka current password dalna hai yani old password uske bad new password uske bad new password ko re type kar dena hai aur save par click karna hai. bas apka paytm password change successful ho gaya.
Aiye ab jante hai paytm password reset kaise kare
Step 1: Paytm password reset yani forgot karne ke liye sabse pehle paytm app open karna hai uske bad left side ki upar corner pe click krke login section me jana hai.
Step 2: Jane ke bad apko trouble logging in par click karna hai
karne ke bad forgot your password par click karna hai karne ke bad apko ek no. Ayega jo yeh hai 01204888488 is no. Par call karna hai apne paytm registered no. Se call par apko bolega password reset karne ke liye 1 dabaye bas tab apko 1 dabana hai.
Step 3: Uske bad apko ek massage ayega register number Par usme ek link diya jayega us link par click karke apna new password dalna hai aur confirm paswoard yani apne jo new password dalenge use re type karna hai.
At least:
Toh dosto ummed karta hu ap jan gaye Paytm password change kaise kare aur paytm password reset kaise kare, agar apko post pasand aya toh is post ko share jarur kare. Koyi sawal hai toh ap comment kar sakte hai. Post read karne ke liye apka bahut bahut Dhanyawaad.
The post Paytm Password change kaise kare ? and reset kare appeared first on Knowledge finder.