Friday, 29 May 2020

Rabindranath Tagore Biography in Hindi, Jivan kahani

Rabindranath Tagore Biography in Hindi. Hello friends, kaise hain aap sabhi mai asha karta hu ki aap sab acche honge. Aaj hum Rabindranath Tagore ki biography ke baare mai baat karenge ki kaise unhone apni sahitya kala ke dum par apna itna bada naam banaya or jaskaran unko nobel Prize se bhi sammanit kiya gaya.


To ayeye jaante Rabindranat Tagore ji ke jeevan kaal ke baare mein aur kuch interesting facts of Rabindranath Tagore in Hindi, Rabindranath Tagore Biography in Hindi, Rabindranath Tagore ki Jivan kahani.


Rabindranath Tagore Biography in Hindi



Some interesting facts about Rabindranath Tagore


Dosto aap sab ko pata hi hoga ki hamare desh ka national anthem yaani ki “Jana gana mana” Rabindranath Tagore ji ne likha hai yha tak ki Rabindranath Tagore ne amar sonar bangla jo ki bangla desh ka national anthem hai or to kuch logo ka yeh bhi kehna hai ki rabindranath Tagore ne sri lanka ka national anthem sri lanka matha likhne mein yogdan diya tha.


Rabindranath nath Tagore ka naam bharat mein hi nahi balki puri duniya mein mashoor ho chuka tha. Rabindranath Tagore ko inke gaane, novels, natak, kahaani or kavitaon ke liye puri duniya bhar mein jana jata hai. Nobel prize ke saath-saath inko Mahatma Gandhi ji ne gurudev ki upadhi se bhi sanmanit kiya. Rabindranath Tagore ne apne pure jeevan kaal mein 2000 se bhi jyada gane likhe hai.


Rabindranath Tagore Biography in Hindi


Rabindranath Tagore ka janam 7 may 1961 ko calcutta mein hua. Unke father ka naam Debendra nath Tagore tha or unki mother ka naam sarada devi tha. Unke father ek dharm sudharak the jo ki baad mein brahm samaj mein jur gaye. Rabindranath Tagore ka parivaar ek bhut prabhaavshaali parivaar tha jiska itihaas kreeb 300 saal purana tha. Unke parivaar ke kisi na kisi sadasya ne business, smaj sudhaar, sahitya kala or sangeet mein apna yogdan diya hai. Rabindranath Tagore ki mother bachpan mein hi mar gyi thi or rabindranath Tagore ko unke nokron ne hi paala paala kyon ki unke father bahut busy rehte the. Rabindranath study ke liye school nahi gaye unho ne ghar mein reh kar hi apni saari study ki. Study ke ilava rabindranath Tagore ne judo, wrestling, swimming or tracking bhi sekhi.


Rabindranath Tagore ne 16 saal ki age mein apni pehli kahani likhi jiska naam bhikharini tha or 20 saal ki age mein apna pehla natak likha jiska naam valmiki pratibha tha. 1890 mein rabindranath Tagore ne aapna sabse famous natak likha jiska naam visarjan tha. Rabindranath Tagore ke father unko advocate bnana chate the jis ke liye unko England bheja gya par rabindranath Tagore ne apni study ko chod diya or vapis aa kar khud se hi sahitya ki study karne lage. Unho ne bahut se novel’s or story padi. 1880 mein rabindranath Tagore bina degree ke hi banglore aa gaye. Jiske baad rabindranath Tagore ne bahut si kahaniya or novels publish kiye jo banglore mein bahut hi famous ho gaye.



1913 rabindranath Tagore ko inki ek book jiska naam “Geetanjali” tha uske liye inko Nobel Prize se sammanit kiya gaya. Geetanjali bahut si kavitaon ka sangrah hai. 1915 mein british government ne Rabindranath Tagore ko knighthood ki upadhi di gayi jo ki inke sahitya kaushal ko dekh kar di gayi jis karan Rabindranath Tagore ka naam India mein hi nahi balki pure world mein famous ho gaya tha.


Hala ki unhone yeh award wapas kar diya kyuki 1919 mein hue jallianwala bagh kand ko lekar vo dukhi rehte the or unse british government ki yeh laparwahi bardaasht nahi ho rahi thi. Vo kehte the ki british samaj hamari samajik bimari ka rajnitik lakshan hai.


1921 mein rabindranath Tagore ne institute of rural reconstruction shuru kiya baad mein uska naam shri nekatn rakh diya gaya. Is institute ka lakshya gareeb logo ki shayta karna tha. 1920 mein rabindranath Tagore ne jaati vyavastha ka virodh kiya or daliton ko hero bana kar unpar bhut se novel likhe.


1971 mein amar sonar bangla banaya gya jise 1905 mein is dharam ke aadhar par Bangladesh mein hue batware ka virodh karne ke liye likha gaya tha. Is batwaare ko rabindranath Tagore bharat ki ajadi ki larai ko rokne ke liye angrezon dwara shadyantra mante the.


Bharat ka rashtra gaan jana gana man Rabindranath Tagore ke likhe hue geet bharat bhagya bidhata se liya gaya hai jaise pehli baar 1919 mein congress ki calcutta ki meeting mein gaya tha. 60 age mein Rabindranath Tagore ne Drawing or painting bhi shuru ki jo ki bhut famous ho gayi.


1937 mein rabindranath Tagore behosh ho gaye or unki tabiyat bhut hi kharab ho gayi. Uske kuch saalo tak unki tabiyat bahut kharab hone ke karan Rabindranath Tagore ne 7 august 1941 ko calcutta mein apna sharer chod diya.


Rabindranath Tagore ne 2000 se bhi jyada gane likhe the jise Rabindra Sangeet kaha jata hai.


Unho ne kaha tha ( Rabindranath Tagore Quotes in Hindi)



  • “har ek vyakti athaah sampatti or prem ka haqdaar hota hai, uske mann ki sundarta ka koi bhi ant nahi” (हर एक ब्यक्ति अथाह संपत्ति और प्रेम का हक़दार है, उसके मान की सुंदरता का कोई भी अंत नहीं)



  • “Ahankar ka Arth hi Sarah karna hai, Sanchay karna hai, woh keval leta hi rehta”.(अहंकार का अर्थ ही सराह करना है, संचय करना है, वह केवल लेता ही रहता)



  • “Thoda padhna, Jyada Sochna, Km Bolna, jyada sunna Yehi Budhiman banne ke upay hai”.(थोड़ा पढ़ना, ज्यादा सोचना, कम बोलना, ज्यादा सुनना यही बुद्धिमान बनने के उपाय हैं।)



  • “Ekant Hume batate hai ki hume kaise hona chahiye”. (एकांत हमें बताता है कि हमें कैसा होना चाहिए ।)



  • “Ishwar ki MahaShakti Man me hai, Toofan me nahi”. (ईश्वर की महाशक्ति मंद झोंके में है, तूफान में नहीं)।


Prem ke upar Quotes Rabindranath tagore in Hindi



  • “Dant dene ka adhikar sirf use hai jo prem karta hai” (दंड देने का अधिकार सिर्फ उसे है जो प्रेम करता है।)



  • “Fulo ki Pankhuri ko todh kar tum uska soundarya grahan nahi kar sakte” (फूलों की पंखुड़ियों को तोड़कर तुम उसका सौंदर्य ग्रहण नहीं कर सकते।)



  • “Sabhi dharmo ka aadhar prem hai. paramathma ki khoj Yehi se shuru hote hai” (सभी धर्मों का आधार प्रेम है । परमात्मा की खोज यहीं से शुरू होती है।)



  • “Prem ke uphar diye nahi jate, woh swikar kiya jate hai. Prem ke Bina hume ek-dusre ka arthat parichay bhi nahi milta” (प्रेम के उपहार दिए नहीं जाते, वे स्वीकार किए जाते हैं । प्रेम के बिना हमें एक-दूसरे का यर्थाथ परिचय भी तो नहीं मिलता ।)



  • “Soundarya narak me bhi hai, par woha ke rehne wale uski pehchan nahi kar pate yehi toh unki Sabse badhi saja hai.” (सौंदर्य नरक में भी है, पर वहां के रहने वाले उसकी पहचान नहीं कर पाते यही तो उनकी सबसे बड़ी सजा है।)


Last Word


To yeh tha kuch interesting jaankari Rabindranath Tagore ke jeevan ke bare mein. Abhi aap ne jan gaye Rabindranath Tagore ki Jivan kahani, Rabindranath Tagore Biography in Hindi aur kuch interesting facts about Rabindranath Tagore. Mai asha karta hu apko ye jankari pasand aaya hai.


“Hamare Blog ke Latest update paane ke liye Bell Icon Subscribe kare, facebook page bhi like karna na bhule. Article padhne ke liye aur Knowledge finder Visit karne ke liye aapka Bahut Bahut Dhanyawad.”


Yeh Bhi padhe-


  • Mahan Sakrat ke vichar in Hindi

  • Swami Vivekananda Quotes in Hindi

The post Rabindranath Tagore Biography in Hindi, Jivan kahani appeared first on Knowledge finder.