Hello, Ajkal logo ko darkmode me mobile ke apps chalana kafi pasand aa gaye hai, bade bade Apps website bhi dark mode ho gaye jaise Youtube, messenger etc.
Whatsapp bhi No. 1 Chatting app hai to ise bhi aab aap dark mode me use kar payenge, bahut si log mobile ke settings ke bare me itna kuch jante nahi hai toh unke liye yeh post taiyar ki hai, is post me apko janne ko milega Whatsapp dark mode on kaise kare yani whatsapp dark mode enabled krna sikhayenge, uske alawa is post me Dark Mode concept kyu aaya or is darkmode on karke istemal karne se kya fayda hai.
- WhatsApp DP full form क्या है ? |DP का क्या मतलब…
Whatsapp Dark mode on Kaise kare!
- Whatsapp app ko open kare
- Right side me upar three dot par click kare
- aab new group or sabse last me settings ayega usme click kare
- abhi apka naam or account and chats option rhega CHats par click kare
- last step Display likha rhega uske niche dekhe theme hai uspe click kar kr dark tick mark kare or OK kar dijiye.
baas abhi apka Whatsapp dark mode ho gaya.
Note: aagar apka whatsapp app update nahi hai toh sabse pehle update kare, whatsapp update karne ke liye Play store me jaiye whatsapp search kare or update button par click karke update kare.
Dark mode Concept ?
dark mode concept ko isiliye laya gaya hai taki log mobile/pc chalate waqt akho ki pareshani kam ho akh me itna light lage nahi iske liye dark mode ka concept laya hai, yeh dark mode istemal jyadatar log rat me istemal krte hai jisse akho ki nuksan se bachte hai.
- Dark mode me apps chalane se akho me pressure kam aati hai.
- Apps ko dark mode karne se dekhne me bahut cool lagta hai.
Last Word
Toh dosto yeh tha aj ka bahut hi simple sa settings Whatsapp Dark mode on kaise kare or dark ke bare me, aasha karta hu aabhi aap jan gaye Whatsapp Dark mode on krna.
Post kesa laga or koyi sawal sujaw hai to comment jarur kare, is blog ke latest post ke update aur notification pane ke liye Facebook page like, bell icon subscribe kare. Knowledge finder visit aur likh padhne ke liye aapka Bahut Bahut dhanyawad.
Yeh bhi padhe-
- YOWHATSAPP के अमेजिंग फीचर्स जो आपको जरूर पसंद आएंगे।
- Ek phone mein do whatsapp chalane ke apps ? | Do…
- WhatsApp Advance Features | WhatsApp Hidden Features, Janiye Hindi me
The post Whatsapp Dark mode on kaise kare! appeared first on Knowledge finder.