Friday, 29 May 2020

Online transaction karte samay kya dhyan rakhe!



Online transaction karte samay kya dhyan rakhe ! | yeh tin point jarur Yaad rakhna chahiye online transaction karte waqt!


Aj ke is date par online transaction,money transfer har koi Karte hai aur sabka jarurt ye cheez ho Gaya hai.




Lekin hume Kayi bar Aisa dikkat samna Karna padta hai transfer karte waqt ya to Paisa dusre Jagah pe chale jate hai ya fir pending ho Jate hai. 

Isiliye is post par humne Kuch points bataya Jo apne Yaad rakhenge  toh online transaction karte samay sahi rahega. Aur apka paisa safe hoga.

Aaiye jante hai aise 3 basic bate Jo online transaction karte samay dhyan rakhna padta hai.




Online transaction karte samay kya dhyan rakhe
Online transaction karte samay dhyan rakhe yeh jankariya 

Website secure hai ya nahi kaise pata kare !
Jab aap online Koi saman kharidte hai ya online payment karte ho toh us waqtt transaction karte samay website ko jarur  check Kare ki site secure hai ya nahi. Secure check Karne Ke liye ap apne browser ki left side par upar Nazar dijiye aur udhar apko likha ayega secure or unsecure karke agar secure hai to hi ap us site par payment kare.

2nd point Verify and confirm

Yeh point apko hamesha yaad rakhna chahiye kyunki paisa transfer karte waqt. agar 1no. bhi galat hua toh paise dusre jagah pe chala jayega jo ki kabi refund nahi kar sakte hai. and online transaction karte waqt bhi confirm karna jaruri hai ki ap jis site par payment kar rahe ho sahi hai.

3rd point Internet connection check

Google pay ya koyi bhi money transfer Karne ke apps ko istemal karte waqt apne internet ko jarur check kare. Kai bar Aisa hote hai ap Paisa transfer Kar rahe ho aur net speed Ke wajah se Paisa fas jate hai. Transactions complete nahi ho pata hai.

Toh ap Jab Paisa transfer aur online payment karenge is waqt aapka internet speed check karke hi Karen.


Last word:Asha krta hu dosto apko yeh Tino point dhiyan rakhna cahiye hai. Aur apko yeh post online transaction karte samay Kya dhyan rakhna cahiye. Pasand Aya hoga


is post ko apne Facebook, WhatsApp par jarur share kare. Knowledge finder Ka latest post notification pane Ke liye bell icon subscribe Kare aur hamare FB page like Kare. Thanks for read.




Yeh Bhi padhe-





  • Icici paylater account kya hai

  • CDM machine kya hai ?

  • How to find IFSC Code

  • Whats is Paytm bank in Hindi

The post Online transaction karte samay kya dhyan rakhe! appeared first on Knowledge finder.