Friday, 29 May 2020

Feature Mobile par bhi banking kare? | Bhim app kaise use kare ?



Bhim app kaise use kare ? | Bhim banking services Bina Internet se chalaye !


Hi, Internet ki duniya bahut age badh chuka hai lekin aj bhi feature phone bahut logone istemal karta hai. isiliye aj ham janenge ki Feature mobile par bhi banking kaise kare. is post ko end tak jarur read kare apko Bhim App kaise use kare, Features mobile par banking karne ka tarika mil jayega.

 


 


Feature Mobile par bhi banking kare
Feature Mobile par bhi banking kare

Bhim App kya hai
Bhim ek Mobile banking apps hai jisse ap apne bank account Connect karke balance check, money transfer kar payenge. Bhim App UPI ke madad se chalta hai. Unified Payments Interface ise 11 April 2016 me Introduce kiya gaya tha. Aur Yeh UPI ke madad se hi ap apne features phone se bhi Mobile banking kar pagenge. 

Feature Mobile par banking kaise kare ?

Ap apne features phone par *99# call kijiye uske bad apko language select karne kahega ap apne pasand ke bhasa select kijiye. Uske bad bank naam ya ifsc code type karna hoga, agar apka bank account State bank of India hai toh ap SBI type karke reply karna hai. Uske bad apka account no automatic aa jayega select krna hai.



At least agar ap pehele UPI pin nehi banaya hai toh apko UPI create karna hoga Uske liye ap apne Debit card ke last 6 digit aur expiry month year type krna hoga Example 123455 space 1012 aesa krke apko type karne ke bad ap apne man pasand ke 6 digit number enter krna hai. Woh pin apko yad rakhna hai ap jab bhi paisa transfer ya check karenge toh apko enter krna hoga. itna setup karne ke bad ap fir jab *99# call karenge usme sare options dekhne ko milega Send money, Check balance, mini statement, Etc 

Note: yeh service use karne ke liye apke mobile par balance hona cahiye.


Bhim app kaise use kare ?


Sabse pehle ap play store se BHIM app ko download kijiye, uske bad open karnge toh Sabse pehle apko language select karna hai uske bad next next 3 bar click karna hai, uske bad apko let’s get started par click krna hai. Tab allow allow karna hai. Karne ke bad agar apke smartphone par 2 sim card hai toh ap un sim ko use kare jo apke bank account par registered hai.

Paisa transfer kaise kare IFSC code aur Ac no se ( in bhim app)

Bhim app se paise transfer karne k liye 4+ method hai, UPI id ke duara bhi transfer received hota hai, Qr code, Mobile no se bhi, aur IFSC and Account no se bhi kar payenge, uske liye apko Send option par click karna hai uske bad ap A/C+IFSC par click karna hai, sabse pehle bank select kijiye uske bad IFSC enter kijiye, naam aur account no do bar enter kijiye bas ab send par click kijiye aur amount enter kijiye, last me apko UPI pin dalna hai or money send successful ho jayega.


Yeh posts bhi padhe –


  • IFSC code kaise pata kare best 3 method

  • Savings Bank Account में कितना cash जमा कर सकते है?

  • Online dating ke naam se hota hai Dhoka

I hope dosto apne jan gaye honge Feature Mobile par bhi banking kare iske bare me, aur Bhim App kya hai, Bhim app se IFSC + Account ke duara paisa kaise transfer kare, agar apko kuch sawal hai toh comment jarur kare.


Aise hi Updates or Knowledgeable Jankari pane ke liye Knowledge finder blog follow or hamare Facebook page like karna na bhule. Thank you








Yeh Bhi padhe-





  • Cheque Bounced पर क्या सजा होती है – Cheque bounce क्या…
  • Business Loan kya hai?|कितने प्रकार के होते हैं पूरी जानकारी
  • Online transaction karte samay kya dhyan rakhe!

The post Feature Mobile par bhi banking kare? | Bhim app kaise use kare ? appeared first on Knowledge finder.