Hello doston! kaise hai Mai asha karta hu aap sabhi acche honge. Aaj mai aapko yes bank mein hone vale crisis ke baare mein batane ja raha hun ki akhir yes bank jo ki india ka 4th sabse bada bank hai vo akhir kar kyu band hone ki kagar pe hai akhir kya hai iske peeche ki story ayeye jaante hai yes bank band hone ke peeche ka sach.
Vaise to government of india yani ki RBI kisi bhi bank ko band hone nahi deti kyuki agar koi bank band hota hai to usse sida asar indian ki economy pe parta hai or hala ki government bhi paisa yahi se leti hai to isliye RBI is bank band nahi hoga
Yes bank ek private company hai ya manlo ek bank hai jo ki 2004 mein banie gayi thi or is bank ke founder RANA KAPOOR or ASHOK KAPOOR hai. Shuru shuru mein yeh bank bhut hi kamyab bank raha kyuki is bank ki policies baki banks ke mukable bahut hi badiya thi. yaha tak ki yeh saving account pe 6% ka interest bhi dete the. Par kuch time baad iske ek founder ASHOK KAPOOR ki 26/11 ke hamle mein unki death ho gayi or hala ki do saal tak ashok kapoor ki wife ne case chalaya board of director ke pad ke liye. Par yes bank ki bag door ab RANA KAPOOR ke hath mein aa gayi thi.
Rana kapoor ne phir un companies ko loan dena shuru kiya jinko koi bhi company loan nahi de rahi thi. Jaise ki anil ambani group ko 13000 crore, vodafone or idea ko 6000 crore, DHFL ko 3700 crore, cafe coffee day ko 500 crore, jet airways ko 900 crore or aisi bahut si companies ko loan diya jinki balance sheet RANA KAPOOR ne RBI se chupa ke rakhi thi. Or baad mein yeh sara loan vapis nahi aaya or company doobne ke kagaar pe aa gayi.
- Safegold kya hai Digital gold ki puri jankari
2018 mein RBI ko is fraud ke baare mein pata chala ki to unhone RANA KAPOOR ko iske CEO ki pose se hata diya or unki jagah pe RAVNEET GILL ko CEO bnaya gaya. Par ravneet gill ke aane ke baad bhi company ki situation vaise hi rahi. Or finally 2020 yani ki abb RBI ko saab pata chal chuka tha to unho apni banking act lagai ko yeh bola ki koi bhi customer is bank se ek month mein 50,000 se jada paise withdrawl nahi kar sakta. Hala ki bhut logo ko yeh bhi lag raha hoga ki unke paise doob jayege jabki aisa kuch bhi nahi hoga. RBI ke governor ne SBI ko yes bank mein investment karne ka plan banaya ja raha hai or abhi fihaal isme LIC jaise kuch companies bhi investment karegi. Or ek khaas jaankari yeh hai ki agar koi bhi bank band hota hai to aap ko 5 lakh tak paise uss bank se mil sakta hai.
Final Word
Yeh thi kuch aaj ki update Yes Bank Criss ke upar mai asha karta hu apko yeh jankari acchi lagi hogi. Toh Aab aap jan gaye Yes bank ke puri story or kaise yeh bank loss me gaye kyu band horha hai.
Aise hi Updates or Knowledgeable Jankari pane ke liye Knowledge finder blog follow or hamare Facebook page like karna na bhule. Thank you
Yeh Bhi padhe-
- fraud call kaise hote hai| banking Fraud call kya hai
- Pan card kaise banaya jata hai 2020 me | How to…
- Mutual Fund क्या है? |Mutual Fund की पूरी जानकारी!
The post Yes Bank Crisis ? | Janiye puri Story of Yes bank, bank kyu ho raha hai band ? appeared first on Knowledge finder.