Friday, 29 May 2020

Multiple device mein Internet Connection kaise dein | JioFi Review in Hindi



Namaskar Dosto, asha karta hu aap sab acche hi honge 😊 aj ke is post me hum ek helpful aur useful baat janenge, Jo ki aaj kal sabhi ko jarurt padti hai jo bhi Smartphones, computer istemal karte hai aur jo ek sejyadaa computer ya mobile usekartee hai uske liye toh yeh jankari bahut hi helpful rahegi


aiye jante hai Multiple device par internet istemal kaise kare, aur JioFi ke bare me bhi bat kare, jo ki mene Flipkart se Buy kiya. kimat aur iska specs janenge.


JioFi Review in Hindi


Multiple device par Internet istemal kaise kare!


agar apke 1 se jyda Pc/laptop hai ya fir 1 se jyda smartphone hai aur aap soch rahe hai ki ek sabhi me internet kaise istemal kare, to iske liye sabse aasan tarika hai ki ap ek JioFi kharid le, JioFi ek router device hai jisme aap Jio ka Sim dal kar internet istemal kar payenge. Isse ap 10 device par wifi de paayenge, Jiofi se ap apne pc par Data cable laga kr bhi internet chala payenge. 


JioFi Price


JioFi ka 3 se jyda model hai uska price alag alag hota hai, JioFi 1, JioFi 2, Jiofi 3 aise karke hai, agar Jio retailer store se kharidenge toh apko Jiofi ke sath Jio sim lena padega kyunki Offline store par Only Jiofi alag se sale nehi karte hai, agar aap online se khardenge toh ap sirf JioFi buy kar payenge, mene Flipkart se JioFi kharida jo apne upar pic par dekha iska price 899/- rupees se mene kharida vese iska price 999/- hai mene Flipkart sale offers day par kharida tha.


JioFi Review in Hindi, Specs


Jiofi ke sath apko ek USB data cable ek adapter milta hai, sath me battery bhi hai, JioFi review ke bat kare toh internet ki apko behetarin speed mil jati hai. Agar aap isko range waale jagh pe nahi rakhenge to ho sakta hai shayad apko speed kam mile isliye aap aisi jagh pe rakhe jahan pe full range milti ho.


Sab log is baat ko ache se jante hai Jio users kaafi badh chuke hai jiski wajah se connection distract hota rehta hai, JioFi ke bare me iske baare me keh nahi sakte kyunki ye depend krta hai apke area aur Range ke upar.





The post Multiple device mein Internet Connection kaise dein | JioFi Review in Hindi appeared first on Knowledge finder.